बुढ़ापा एक अभिशाप

 
 


Old age


Admi  janm leta ,phir bada hota hai phir budha .voh jivan ke tamam tarah ke sukh aur dukh jhelte hue bada hota hai,phir uske javani ke din dhalte hai aur phi rata hai bodhapa ,adami ke jivan ka akhri padav jiske bad manav sarir ka ant ho jata hai.budhspa bahut hi kast dene wala hota hai .jivan ke us daur me insan saririk aur manasik aswasthta se juzh raha hota hai .meri dadi bhi isis daur se guzar rahi hai.
Mein apni dadi ke kaphi karib hun .ek din jab mein school se ghar aaya to dekha ke  dadi ghar k eek kone mein  unnhe udas paya .dress chang kar ke mein unke pas ja kar baitha aur unnse bat ki aur pucha ki kya problem hai aap kyun dukhi hain ,tab unnhone bataya ki beta is bhare pure ghar me mein akeli ho gayi hun,kya tum logo ke pas mere keye thoda bhi time nahi hai.unnhone aage bataya ki beta meine tumhari ma ka kya bigada hai jo uo mujhe itna tang karti hai tane marti hai.agar uo tumhari ma hai to mein bhi tumhari dadi hun tumhare papa ki ma hun .phir akhir ye mere sath kyun ho raha hai .yah sab sun kar mein stabdh rah gya  mein kaphi sarminda mahasus kar raha tha .
Meine apne aas pas budhe logo ki durdasa hote deki hai,meine unhe tadap tadap kar marte dekha hai . meine hal hi news mein dekha ki ek ladaki apni maa ko jaydat ke liye mar rahi thi .haal hi mera gaun mein ek budhe baba ki maut isliye ho gayi kyunki unki dekhbhal sahi dhang se nahi hui thi.duniya mein is tarah ke tamam udaharan hain .kya hum sab sirfh maa bap par kavita banana ke liye hai ,kya hum itna gir gaye hai.Kya yahi hamari morality hai? Mujhe samajh mein nahi aata.aaj jis bhi sahar mein jao wohan per vridhashram hai aur vridhjano se bhare hue . 
Mein yeehi chahata hun ki hum log sirf upne bade budho ki seva kare .mein apne chote bhai bahano se yahi chahata ki hum bacche jyada kuch to nahi  kar sakte per kam se kam hum aapne dada dani ke  baith ker batein kar sakte  hain .hamre bade budhe log kaphi experienced hote hain  unhe jindgi ki acchi samajh hoti hai ve kaphi knowledgable hote hain . hum unse ksphi kuch seekh sakte hain .mein zyada kuch nahi bas aap sabhi se yahi pratna karna chahta hun ki aap sabhi apne bade budho ka samman kare aur unke saath samay bitayain  .is blog ko itna share kare ki koyi bhi vridh log mansik aasurakhcha mahasus n kare.

Written by 
Deepak   2058